Bulati hai magar jaane ka nai-Ye duniya hai idhar jaane ka nai
Mere bete kisi se ishq kar-Magar had se gujar jaane ka nai
Kushaada zarf hona chahiye-Chhalak jaane ka bhar jaane ka Nai
Sitare noch kar le jaaunga-Mein khali haath ghar jaane waala nai
Waba faili hui hai har taraf-Abhi maahaul mar jaane ka nai
Wo gardan naapta hai, naap le-Magar zaalim se dar jaane ka nai
– Rahat Indori
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें